khal-o-khad odhe tasawwur ko pareshan kiya ishq ne apne tain jism ka nuqsan kiya khud chali aai zarurat mere darwaze par main ne ek rah pe jo taskin ko qurban kiya raat dhalne se bahut pahle ka qissa hai visal jis ne kuchh bujhte charaghon ko pasheman kiya raushni ungh rahi thi kahin diwar ke beach main ne jab tera makanon se gurezan kiya khwab aur khauf ne aaine mein ram karna tha yak-ba-yak lau ki lapak ne mujhe hairan kiya