aankh mein dahshat na thi hath mein khanjar na tha samne dushman tha par dil mein koi dar na tha us se bhi mil kar hamein marne ki hasrat rahi us ne bhi jaane diya wo bhi sitamgar na tha ek pahadi pe main baitha raha der tak shauq se dekha karun aisa bhi manzar na tha hum se jo aage gae kitne mehrban the dur talak rah mein ek bhi patthar na tha raat bahut der se aankh lagti thi zara nind mein kamra na tha khwab mein bistar na tha sher to hum ne bahut thik kiya tha magar ab bhi ghalat tha kahin ab bhi barabar na tha socha tha is bar to ja ke 'zafar' se milen kya karen 'alwi' magar aisa muqaddar na tha