khabar sunega meri maut ki to khush hoga ki ab to ja ke diwane ko chain aaega milenge mujh se kahin achchhe jaan-nisar tujhe magar kabhi to mera zikr aa hi jaega na aisa ho magar aisa hua to kya hoga sukun talash karega kahin na paega ajib daur hai kuchh bhi yahan pe mumkin hai jo yaad rakhna bhi chaha to bhul jaega zamana guzrega tutenge saikdon rishte phir ek shakhs fasana mera sunaega koi hansega diwane ki zindagi pe magar kisi ki aankh mein ek ashk aa hi jaega na doston ki shikayat na dushmanon ka gila ye sochta hun kise kaun ab manaega