kaisa tara tuta mujh mein jhank rahi hai duniya mujh mein koi purana shahr hai jis ka khulta hai darwaza mujh mein diya jala ke chhod gaya hai koi apna saya mujh mein band hui jati hain aankhen kaisa manzar jaga mujh mein aawazen deta hai mujh ko koi 'mir' ke jaisa mujh mein koi mujh ko dhundhne wala bhul gaya hai rasta mujh mein khali thi gul-dan mein tahni khila hua tha shoala mujh mein baras rahi thi barish bahar aur wo bhig raha tha mujh mein udta rahta hai raaton ko 'qaisar' koi parinda mujh mein