KHabt-e-azmat mein giraftar nahin bhi hote

khabt-e-azmat mein giraftar nahin bhi hote
log kuchh bais-e-azar nahin bhi hote

pas-e-bazar bhi bik jate hain bikne wale
kitne saude sar-e-bazar nahin bhi hote

yun bhi hota hai kisi pal ki mozahim haalat
rah de dete hain diwar nahin bhi hote

ek tamasha sa ba-har-haal laga rahta hai
manzar-e-am pe kirdar nahin bhi hote

bar to hote hain duniya ke jhamele aksar
waise kuchh bar giran-bar nahin bhi hote

parsai bhi kahin dhong hua karti hai
kuchh gunahgar gunahgar nahin bhi hote


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close