KHair ka tujhko yaqin hai aur usko shar ka hai

khair ka tujh ko yaqin hai aur us ko shar ka hai
donon haq par hain ki jhagda sirf pas-manzar ka hai

aansuon se tu hai khali dard se aari hun main
teri aankhen kanch ki hain mera dil patthar ka hai

kaun dafnata use wo ek barahana lash thi
sab ne puchha kaun hai wo kaun se lashkar ka hai

tu sukun se thak gaya hai aur betabi se main
shauq hai tujh ko safar ka aur mujh ko ghar ka hai

ek pauda sehn mein tha dhup kha kar jal gaya
sirf mera hi nahin hai ranj ye ghar bhar ka hai

sochta rahta hun main teri udanen dekh kar
ye hawa ka zor hai ya tere baal-o-par ka hai

ek budhe ne kiya asr-e-rawan pe tabsira
ye zamana aadmi ka hai ki zor-o-zar ka hai

main ne sincha hai lahu se is dil-e-sar-sabz ko
umr bhar se ye ilaqa meri chashm-e-tar ka hai

main simat kar letta hun bistar-e-idrak par
panw phailaun to andesha mujhe chadar ka hai

is masafat ka mudawa tujh se bhi mumkin nahin
zakhm-e-dil se kuchh ziyaada zakhm mere sar ka hai

ek tabib-e-admiyat ne kaha hai saf saf
zahr duniya ki ragon mein sab fasad-e-zar ka hai

dekh kar insan ko kahti hai sari kaenat
ye to hum mein se nahin hai ye koi bahar ka hai

sari kadiyan tod din main ne mohabbat ke siwa
kaun todega ise ye jabr to andar ka hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close