khak ho kar bhi kab mitunga main phul ban kar yahin khilunga main tujh ko aawaz bhi main kyun dunga tera rasta bhi kyun takunga main ek purane se zakhm par ab ke koi marham naya rakhunga main gher lengi ye titliyan mujh ko khushbuen jiyun riha karunga main khud se bahar to kam nikalta hun ji mein aaya to phir milunga main warna jina muhaal kar dega dard ko ab ghazal karunga main dhukdhuki si lagi hai kyun ji ko itni jaldi kahan marunga main sansen deti rahin jo chingari ek jangal sa jal uthunga main thak gaya hun main is jazire par phir samundar ka rukh karunga main ruh ka ye libas badlunga bhes duja koi dharunga main