khak mein milti hain kaise bastiyan malum ho aane walon ko hamari dastan malum ho jo idhar ka ab nahin hai wo kidhar ka ho gaya jo yahan madum ho jae kahan malum ho marhala taskhir karne ka ise aasan hai gar tujhe apna badan sara jahan malum ho jo alag ho kar chale sab ghumte hain us ke gird yun juda ho kar guzar ki darmiyan malum ho kitni majburi hai la-mahdud aur mahdud ki be-karan jab ho saken tab be-karan malum ho ek dam ho raushni to kya nazar aae 'malal' kya samajh paun jo sab kuchh na-gahan malum ho