phul jab koi bikharta hai to hans dete hain dard jab had se guzarta hai to hans dete hain parda-e-zehn pe mazi ke jharokon se kabhi ek chehra sa ubharta hai to hans dete hain subh tak jalna pighalna hai hamari qismat rang-e-shab yun jo nikharta hai to hans dete hain aagahi bhulne deti nahin hasti ka maal tut ke khwab bikharta hai to hans dete hain zindagi johd-e-musalsal hai hirasan kyun ho walwala jab koi marta hai to hans dete hain