khala ki ruh kis liye ho mere ikhtiyar mein udan ka to zikr tak na tha mere farar mein kabhi to manzaron ke is tilism se ubhar sakun khada hun dil ki sath par khud apne intizar mein ye saaton ki bhid ne use ganwa diya na ho rakha tha main ne ek lams waqt ki darar mein safar mein marhalon ki rasm bhi hai ab bujhi bujhi wahi purani gard hai har ek nae ghubar mein abad ki sarhadon ke par bhi hadon ka shor tha thi paikaron ki dastan khala ke shahkar mein ye jism kyun ye ruh kyun hayat kyun 'riyaz' kyun sifar sifar ki gunj hai talash ke mazar mein