qayam-e-dair-o-tawaf-e-haram nahin karte zamana-saz to karte hain hum nahin karte tumhaari zulf ko suljhaenge wo diwane jo apne chaak-e-gareban ka gham nahin karte utar chuka hai rag-o-pai mein zahr-e-gham phir bhi ba-pas-ahd-e-wafa chashm nam nahin karte ye apna dil hai ki is haal mein bhi zinda hain sitam kuchh ahl-e-sitam hum pe kam nahin karte girafta-dil hain butan-e-haram ki ab shair nashat-o-aish ke saman baham nahin karte suna rahe hain jahan ko hadis-e-dar-o-rasan hikayat-e-qad-o-gesu raqam nahin karte wo aastan-e-shahi ho ki aastana-e-dost ye ab kahin sar-e-taslim kham nahin karte