KHalq ne chhin li mujhse meri tanhai tak

khalq ne chhin li mujh se meri tanhai tak
ishq aa pahuncha hai ilzam se ruswai tak

khol rakkha hai ye darwaza-e-dil tere liye
kash tu dekh sake ruh ki gahrai tak

kyun hun main aur mere gham ka use ehsas kahan
hai mulaqat faqat anjuman-arai tak

yun to hum ahl-e-nazar hain magar anjam ye hai
dhundte dhundte kho dete hain binai tak

khul gae wo to khula apni mohabbat ka bharam
walwale dil mein hazaron the shanasai tak

dubna apna muqaddar tha magar zulm hai ye
bah gae ek hi rele mein tamashai tak

khushk mitti pe bhi girta nahin patta koi
khamushi wo hai ki chalti nahin purwai tak

shahr mein ahl-e-jafa ahl-e-riya rahte hain
ye hawa kash na pahunche tere saudai tak

apne anjam pe khud roegi sham-e-mahfil
chhod jaenge use us ke tamannai tak

hum ne bhi dasht-nawardi to bahut ki 'shahzad'
hath pahuncha na kisi lala-e-sahrai tak


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close