khamushi mein hi la-jawab na tha muskurahat ka bhi hisab na tha main use harf harf padhta gaya wo agarche khuli kitab na tha ek muddat se so rahe hain log phir bhi aankhon mein koi khwab na tha jhil mein raat bhar tha kya raqsan tera paikar to zer-e-ab na tha marne walon ki thi jaza ki waid jine walon ka ehtisab na tha zarf ke imtihan mein ab ki bar ek bhi shakhs kaamyab na tha yun to behad sakhi tha dil ka 'amir' wo magar sahab-e-nisab na tha