KHat uske apne hath ka aata nahin koi

khat us ke apne hath ka aata nahin koi
kya hadsa hua hai batata nahin koi

gudiyan jawan kya huin mere pados ki
aanchal mein jugnuon ko chhupata nahin koi

jab se bata diya hai nujumi ne mera nam
apni hatheliyon ko dikhata nahin koi

kuchh itni tez dhup nae mausamon ki hai
biti hui ruton ko bhulata nahin koi

dekha hai jab se khud ko mujhe dekhte hue
aaina samne se hatata nahin koi

'azhar' yahan hai ab mere ghar ka akela-pan
suraj agar na ho to jagata nahin koi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close