khate hain hum hachkole is pagal sansar ke bich

khate hain hum hachkole is pagal sansar ke bich
jaise koi tuti kashti phans jae manjdhaar ke bich

un ke aage ghanton ki arz-e-wafa aur kya paya
ek tabassum mubham sa iqrar aur inkar ke bich

donon hi andhe hain magar apne apne dhab ke hain
hum to farq na kar pae kafir aur din-dar ke bich

ishq pe bul-hawasi ka tan ye bhi koi baat hui
koi gharaz to hoti hai pyar se har isar ke bich

yun to hamara daman bas ek phata kapda hai magar
dhundho to paoge yahan sau sau dil har tar ke bich

jaise kale kichad mein ek surkh kamal ho jalwa-numa
aise dikhai dete ho hum ko to aghyar ke bich

ye hai dayar-e-ishq yahan 'kaif' khirad se kaam na le
farq nahin kar paega majnun o hoshyar ke bich


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close