KHayal lams ka kar-e-sawab jaisa tha

khayal lams ka kar-e-sawab jaisa tha
asar sada ka bhi mauj-e-sharab jaisa tha

waraq nuche hue sab lafz o mani gum-sum the
ye baat sach hai wo chehra kitab jaisa tha

tamam raat wo pahlu ko garm karta raha
kisi ki yaad ka nashsha sharab jaisa tha

udas zarron ke ham-rah koi phirta raha
khamoshiyon ka bayaban sarab jaisa tha

ek umr khoi to ye raaz mujh pe fash hua
khayal-e-mahr-o-wafa naqsh-e-ab jaisa tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close