KHayal mein hai jo chehra nazar bhi aaega

khayal mein hai jo chehra nazar bhi aaega
wo apne ghar se kabhi mere ghar bhi aaega

bichhadte waqt ka manzar bhi dhyan mein rakhna
safar mein kaam ye rakht-e-safar bhi aaega

nikal to aae hain zindan-e-tirgi se magar
ye sochte hain hamein kuchh nazar bhi aaega

sabhi na ghar ke darichon se bach ke guzrenge
hawa ka koi to jhonka idhar bhi aaega

malal saya-e-diwar-o-dar abhi se kya
ye marhala to sar-e-rahguzar bhi aaega

meri nawa to kabhi raegan nahin jati
agar wo ghar mein hua baam par bhi aaega

kise guman tha 'khawar' wahan ki mitti mein
yahan ki aab-o-hawa ka asar bhi aaega


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close