ye kis ne dasht-e-bala se mujhe pukara hai

ye kis ne dasht-e-bala se mujhe pukara hai
abhi abhi to mujhe zindagi ne haara hai

tasawwur-e-rukh-e-jaanan kiye hue hum log
hamari aankh mein aansu nahin sitara hai

koi charagh na jugnu na aaina na kitab
ye kaisa khwab meri aankh par utara hai

bas ek umid hai jis ne sambhaal rakkha hai
bas ek nam hai jis ka hamein sahaara hai

abhi main aaya-e-tathir padhne wala hun
ye khamushi kisi ilham ka ishaara hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close