KHayal-o-KHwab mein diwar-o-dar bhi sath rakkho

khayal-o-khwab mein diwar-o-dar bhi sath rakkho
musafirat mein raho aur ghar bhi sath rakho

ajab nahin ki shahadat talab kare manzil
karo padaw to gard-e-safar bhi sath rakho

zar-o-guhar se bhi banti hain qamaten lekin
koi saliqa-e-arz-e-hunar bhi sath rakho

hum aise log pas-e-guftugu bhi jaante hain
hamein milo to khulus-e-nazar bhi sath rakho

kuchh is liye bhi wo sailab bhej deta hai
ki bastiyon mein raho aur khandar bhi sath rakho

kadi hai dhup to khwabon mein hi sahi 'razmi'
hari ruton ke ghanere shajar bhi sath rakho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close