khel tha apni ana ka ishq use samjha kiya

khel tha apni ana ka ishq use samjha kiya
main ne apne aap se kitna bada dhoka kiya

umr-bhar ka ham-nafas ek pal mein rukhsat ho gaya
aur main khamosh use jate hue dekha kiya

ek zara si baat par rutha raha wo der tak
muskura ke khud hi phir meri taraf chehra kiya

fikr ki lazzat ke bais hain meri nakaamiyan
sab amal karte rahe aur main faqat socha kiya

zakhm ki ek aag thi jis se sukhan raushan rakha
dard ki ek lahar thi main ne jise naghma kiya

sab hi kuchh us se na kahna tha jo tere dil mein tha
shiddat-e-izhaar mein tu ne 'farasat' kya kiya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close