KHirman-e-jaan ke liye KHud hi sharar ho gae hum

khirman-e-jaan ke liye khud hi sharar ho gae hum
khaksari jo badhi khak-basar ho gae hum

apne hone ka yaqin aa gaya bujhte bujhte
be-karan shab mein jo imkan-e-sahar ho gae hum

na-muradi mein nashat-e-gham imkan tha ajab
hum kabhi shad na ho pate magar ho gae hum

hum nahin kuchh bhi magar marka-e-ishq ki khair
jit maqsum hui us ki jidhar ho gae hum

jada-e-ishq tera haq to ada kis se hua
khair itna hai ki aaghaz-e-safar ho gae hum

zindagi aise guzari ki subuk sar na hue
yani is daur mein jine ka hunar ho gae hum

tesha bhi hum the yaqin hum the to zindan kya chiz
yahi hona tha so diwar mein dar ho gae hum

dast-e-qudrat hamein kuchh aur hai banna so bana
chhod ye zikr ki qatre se guhar ho gae hum


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close