khizan ka koi wajud hai na chaman mein rang-e-bahaar hai jise jaanta hai tu karwan wo teri nazar ka ghubar hai na jamal mein hain latafaten na latafaton mein hai be-khudi ye junun-e-ishq ka bhut hai jo bashar ke sar pe sawar hai mujhe be-niyaz-e-alam na kar mujhe be-nasib-e-sitam na kar mere gham ki lazzat-e-jawedan meri zindagi ki bahaar hai ye nahin nashat ka zamzama ise gosh-e-hosh se sun zara mere saz-e-dil ki sada nahin meri be-kasi ki pukar hai mujhe zindagi ki dua na de mujhe aisi sakht saza na de mujhe dekh aa ke qarib-tar mera har nafas mujhe bar hai hai khabar asir riha hue hain farogh daur-e-bahaar mein chalo 'raj hum bhi chale chalen ki chaman mein urs-e-bahaar hai