sirf itna qusur-war hun main chahta tujh ko be-shumar hun main jo mohabbat thi wo ada kar di teri nafrat ka qarz-dar hun main kuchh khata hai meri na koi gunah tang-nazari ka bas shikar hun main hadse mera kya bigadenge man ki aankhon ka intizar hun main manzilen ruh tai karegi khud kashti-e-jism par sawar hun main