KHizan ke chand ne puchha ye jhuk ke khiDki mein

khizan ke chand ne puchha ye jhuk ke khidki mein
kabhi charagh bhi jalta hai is haweli mein

ye aadmi hain ki sae hain aadamiyyat ke
guzar hua hai mera kis ujad basti mein

jhuki chatan phisalti giraft jhulta jism
main ab gira hi gira tang-o-tar ghati mein

zamane bhar se nirali hai aap ki mantiq
nadi ko par kiya kis ne ulti kashti mein

jalae kyun agar itne hi qimti the khutut
kuredte ho abas rakh ab angethi mein

ajab nahin jo ugen yan darakht pani ke
ki ashk boe hain shab bhar kisi ne dharti mein

meri giraft mein aa kar nikal gai titli
paron ke rang magar rah gae hain mutthi mein

chaloge sath mere aagahi ki sarhad tak
ye rahguzar utarti hai gahre pani mein

main apni be-khabari se 'shakeb' waqif hun
batao pech hain kitne tumhaari pagdi mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close