KHizan ne sataya na Khaaron ne luTa

khizan ne sataya na kharon ne luta
gulon ne diye dukh bahaaron ne luta

falahi riyasat ka naqsha dikha kar
gharibon ko sarmaya-karon ne luta

jo islam ke nam par chal rahe the
maza un siyasi idaron ne luta

kade waqt par kaam aana tha jin ko
watan ko unhin jaan-nisaron ne lauta

tujhe qazi-e-shahr kaise bataun
mera ghar mere pahra-daron ne luta

ba-zahir the rahbar pas-e-parda rahzan
qayaadat ko ummid-waron ne luta

jo imdad tufan ke maron ko aai
use khub taqsim-karon ne luta

kabhi sochti hun ki qaumi khazana
wazahat-talab goshwaron ne luta

haqiqat to ye hai ki mere watan ko
watan dost takhrib-karon ne luta

talatum mein pahle hi jo lut chuke the
ai 'rumi' unhen phir kinaron ne luta


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close