ye tera KHayal hai ki tu hai

ye tera khayal hai ki tu hai
jo kuchh bhi hai meri aarzu hai

dil pahlu mein jal raha hai jaise
ye kaisi bahaar-e-rang-o-bu hai

taqdir mein shab likhi gai thi
kahne ko ye zulf-e-mushkbu hai

wo dast-e-khizan se bach gaya hai
jis phul mein rang hai na bu hai

patthar ko tarash kar bhi dekho
ye fan bhi khuda ki justuju hai

pardes hai shahr shahr mera
aghyar ki jis mein aabru hai

taqdis ke sar mein khak dekhi
tahzib ke hath mein subu hai

main jine se tang aa gaya hun
ai maut subut de ki tu hai

dekho to 'zafar' kahan hai yaro
diwane ka zikr ku-ba-ku hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close