khizan se kaun si shai chhin li bahaaron ne gulon ko aankh dikhai chaman mein kharon ne chhupa chhupa ke rakha tha jise bahaaron ne ugal diya hai wahi khun lala-zaron ne qadam qadam pe hazaron fareb hain saqi irade nek to bandhe hain baada-khwaron ne usi maqam pe pahunche hain tere diwane jahan se aankh churai thi hoshyaron ne mere jamal ka har aaina ubhar aaya ye saz kaun se chhede hain aabshaaron ne qadam qadam pe tajalli nazar nazar jalwa kahan bulaya hai musa ko kohsaron ne shab-e-firaq umidon ki lau bhi kanp uthi kuchh aise git bhi gae hain chand taron ne umid-o-bim ke aaine muttasil rakh kar hayat-e-nau mujhe bakhshi tere sahaaron ne ye ittifaq hai in ko wafa na ras aai bahaya khun jigar tere jaan-nisaron ne dua hai phir bhi salamat rahe ye mai-khana ewaz mein mai ke piya khun baada-khwaron ne sukun ki bhik to mangi na thi kabhi main ne karam kiya hai kahan mere gham-gusaron ne chubho diye hain dilon mein jo khar-e-gham tum ne unhin se zakhm kurede wafa-shiaron ne kahan ka zauq-e-nazar khud nazar hai gum 'faiq' chhupa liya hai mujhe yun tere nazaron ne