hasrat-e-did nahin zauq-e-tamasha bhi nahin kash patthar hon nigahen magar aisa bhi nahin jabr-e-dozakh nahin firdaus ka nashsha bhi nahin khush hain aaraf mein hum aur koi khatka bhi nahin ab kisi hur mein baqi nahin ehsas-e-kashish mere sar par kisi aaseb ka saya bhi nahin wo to aisa bhi hai waisa bhi hai kaisa hai magar? kya ghazab hai koi us shokh ke jaisa bhi nahin jis ka haq tha ki bane sang-e-malamat ka hadaf zahe tazhik wo ab shahr mein ruswa bhi nahin dhundh kuchh aur hi iblagh ki surat ai 'saz' sharh o tafsir nahin ramz o kinaya bhi nahin