khizan se sina bhara ho lekin tum apna chehra gulab rakhna tamam tabir us ko dena aur apne hisse mein khwab rakhna har ek zamin se har aasman se har ek zaman se guzarte rahna kahin pe tare bikher dena kahin koi mahtab rakhna jo be-ghari ke dukhon se tum bhi udas ho jao haar jao to aansuon se makan banana aur us ke upar sahab rakhna jo an-kahe hain jo an-sune hain wo sare manzar bhi dekh loge bas apni aankhon ki chup mein raushan mohabbaton ke azab rakhna muhib raaton ke jangalon mein abad ke jaisa sukut ho jab lahu ka apne diya jalana aur apna chehra kitab rakhna tum apne andar ki hijraton se nidhaal ho kar jo lautna to na khud se koi sawal karna na pas apne jawab rakhna ye zindagi to safar hai 'sabir' safar mein jab bhi kisi se milna tamam sadme bhulate rahna muhaal hoga hisab rakhna