nam hain wo aankhen bura ho ishq ki tasir ka dusra rukh kitna dard-angez hai taswir ka wo mujassam husn-o-tamkin dil sarapa dard-o-gham jaise 'sauda' ke qasaed aur taghazzul 'mir' ka hind ke lala-rukho az ru-e-tamir-e-watan rang har khitte ko de do jannat-e-kashmir ka shauq ki aankhen hain akkas-e-bahaar-e-husn-e-dost dil sada band-e-ghina-e-lahn hai taqrir ka tere khat mein bil-mushafa ham-kalami ke maze tarz hai maktub-e-ghaalib mein yahi tahrir ka iddaa-e-khud-shanasi hai sarasar be-mahal mukhtalif chehra ho jab har daur ki taswir ka 'mani' fan mein shakhsiyat hoti hai har fankar ki shairi parda uthati hai meri taswir ka