kho na ja is sahar o sham mein ai sahib-e-hosh

kho na ja is sahar o sham mein ai sahib-e-hosh
ek jahan aur bhi hai jis mein na farda hai na dosh

kis ko malum hai hangama-e-farda ka maqam
masjid o maktab o mai-khana hain muddat se khamosh

main ne paya hai ise ashk-e-sahar-gahi mein
jis dur-e-nab se khali hai sadaf ki aaghosh

nai tahzib takalluf ke siwa kuchh bhi nahin
chehra raushan ho to kya hajat-e-gulguna farosh

sahib-e-saz ko lazim hai ki ghafil na rahe
gahe gahe ghalat-ahang bhi hota hai sarosh


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close