KHud ko pane ki justuju hai wahi

khud ko pane ki justuju hai wahi
us se milne ki aarzu hai wahi

us ka chehra usi ke khadd-o-khal
apna mauzu-e-guftugu hai wahi

hain usi ke ye rang-ha-e-sukhan
mere pahlu mein khub-ru hai wahi

kitne mausam badal gae lekin
dil wahi dil ki aarzu hai wahi

hai wahi shauq-e-chaak-damani
aur phir khwahish-e-rafu hai wahi

sajda-bazan-e-shahr painda
dast-e-azar ki aabru hai wahi

khu-e-taslim sar salamat-baad
bandagi tauq-e-dar-gulu hai wahi

kam nahin shor-e-nala-o-fariyaad
matam-e-shahr aarzu hai wahi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close