KHud mein khilte hue manzar se numudar hua

khud mein khilte hue manzar se numudar hua
wo jazira jo samundar se numudar hua

meri tanhai ne paida kiye sae ghar mein
koi diwar koi dar se numudar hua

chaaron atraf mere aaine rakkhe gae the
main hi main apne barabar se numudar hua

aaj ki raat guzari hai diye ne mujh mein
aaj ka din mere andar se numudar hua

kya ajab naqsh hai wo naqsh jo is duniya ke
kahin andar kahin bahar se numudar hua

ek shoale ki lapak nur mein dhal kar aai
ek kirdar bahattar se numudar hua

haq ki pahchan hui khalq ko 'azar' us waqt
jab ali aap ke bistar se numudar hua


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close