log jo dil-figar hote hain

log jo dil-figar hote hain
chalte phirte mazar hote hain

jo mohabbat mein khar hote hain
sahab-e-sad-waqar hote hain

jin ke daman mein khar hote hain
qadr-dan-e-bahaar hote hain

jo mohabbat-shiar hote hain
sazishon ka shikar hote hain

meri barbaadi-e-mohabbat par
aap kyon sharmsar hote hain

un ke qaul-o-qarar kya kahiye
sirf qaul-o-qarar hote hain

apna matlab nikalne wale
kis qadar hoshiyar hote hain

pur-khuluson ki puchhte kya ho
khar hote the khar hote hain

kya khabar thi ki rah-e-ulfat mein
har qadam kharzar hote hain

kis tawaqqo pe log ai 'asi'
zindagi par nisar hote hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close