khuda kare ki ye mitti bikhar bhi jae ab chadha hua hai jo dariya utar bhi jae ab ye roz roz ka milna bichhadna khalta hai wo meri ruh ke andar utar bhi jae ab wahan wo phul sa chehra hai muntazar us ka kaho ye shair-e-awara ghar bhi jae ab main apne-ap ko kab tak yunhi samete phirun chale wo aandhi ki sab kuchh bikhar bhi jae ab usi ki wajh se sare wabaal hain 'faruq' badan ka qarz ada ho ye sar bhi jae ab