KHuda ki zat ne jab dard ka nuzul kiya

khuda ki zat ne jab dard ka nuzul kiya
mere siwa na kisi aur ne qubul kiya

agarche ek qabile ke fard hain donon
tujhe gulab banaya mujhe babul kiya

kabhi ye gham ki adhura raha hamara kaam
kabhi ye soch ki jitna kiya fuzul kiya

hawa ne gard udai hai barha meri
palat palat ke zamin ne mujhe qubul kiya

har ek zakhm ko bakhshi gulab ki surat
badan ki sej pe kanton ko hum ne phul kiya

suna rahe hain shajar rukhsat-e-bahaar ka sog
samar to kya koi patta nahin qubul kiya

kisi ko khad se ziyaada na mohtasib jaana
faqat zamir ki aawaz ko usul kiya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close