rang aur rup mein sone se khari hoti hai

rang aur rup mein sone se khari hoti hai
dil ki wo rag jo mohabbat se bhari hoti hai

aashiyane ko panapne nahin deti duniya
barq gir padti hai jab shakh hari hoti hai

jhenp jata hai chatakti hui kaliyon ka shabab
mast aankhon mein agar nind bhari hoti hai

ashk barsati hui aati hai gulshan mein bahaar
phul khilte hain to shabnam ki tari hoti hai

arsh-o-kursi-o-falak dair-o-haram kaba-e-dil
phir bhi mahdud teri jalwagari hoti hai

kahkashan dekhti hai us ki tajalli ka nikhaar
jis ki angdai mein jadu-asari hoti hai

din ko gar dhup ki chadar mein sukun milta hai
raat ab khatm charagh-e-sahari hoti hai

yaad aa jati hai khud apni nikharti tauba
jam mein jab mai-e-khush-rang bhari hoti hai

chahe lafzon mein kahe chahe ishaaron se kahe
'fazl' jo baat bhi kahta hai khari hoti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close