khuda ne kis shahar andar haman ko lae dala hai na dilbar hai na saqi hai na shisha hai na pyala hai piya ke nanw ki simran kiya chahun karun kis sin na tasbih hai na simran hai na kanthi hai na mala hai khuban ke bagh mein raunaq hue to kis tarah yaran na dona hai na marwa hai na sausan hai na lala hai piyan ke nanw aashiq kun qatl ajab dekhe na barchhi hai na karchhi hai na khanjar hai na bhaala hai 'barahman' waste ashnan ke phirta hai bagiyan sin na ganga hai na jamuna hai na naddi hai na nala hai