tuta jo aasman se wo tara nahin hun main jugnu hun dasht-e-gham ka andhera nahin hun main shayad ki baithe baithe main patthar mein dhal gai kya dekhte hain log tamasha nahin hun main parchhain ki tarah se wo rahta hai aas-pas tanhaiyo yun kahne ko tanha nahin hun main barbaad kar ke mujh ko sitamgar milega kya insan hun koi sang ka tukda nahin hun main ai zindagi se khelne walo ye jaan lo khelo na mujh se koi khilauna nahin hun main yun jaan-o-ruh karb-e-musalsal ke hain shikar zinda hun dekhne ko ye zinda nahin hun main utthegi kab karam ki ghata mujh ko dhanpne yarab bata de kya tera banda nahin hun main