KHuddari-e-hayat ko ruswa nahin kiya

khuddari-e-hayat ko ruswa nahin kiya
hum ne kabhi zamir ka sauda nahin kiya

jaan se aziz tha hamein dastar ka waqar
zalim ko sar to de diya sajda nahin kiya

phir lab pe tere kalma-e-afsos kis liye
main ne to tere jabr ka shikwa nahin kiya

mandla raha hai aaj jo sahil ke ird-gard
tufan ko to tum ne ishaara nahin kiya

us ke rukh-e-jamil ke aae jo ru-ba-ru
mahtab aisa charkh ne paida nahin kiya

garche mere qalam ke kharidar kam na the
mere zamir hi ne gawara nahin kiya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close