khudi ko aa gai hansi umid ke sawal par andhere tilmila uthe charagh ki majal par ye chahaton ka dard hai ye qurbaton ka hashr hai jo dhup chhup ke roi aaftab ke zawal par ye jaan kar ki chand mere ghar mein jagmagaega sitare aaj sham se hi aa gae kamal par nazar mein zindagi ki phul mo'atabar na ho sake khizan ko e'tiraaz tha bahaar se visal par khabar ye der se udi ki maut se mafar nahin parind jab utar chuke shikariyon ke jal par zamana jis ki zindagi mein qadr kuchh na kar saka ab aasman ro raha hai us ke intiqal par kahan wo 'mina' chahaton ki shiddaton ka silsila kahan ye be-niyaziyan hamare arz-e-haal par