khula hai jhuT ka bazar aao sach bolen

khula hai jhut ka bazar aao sach bolen
na ho bala se kharidar aao sach bolen

sukut chhaya hai insaniyat ki qadron par
yahi hai mauqa-e-izhaar aao sach bolen

hamein gawah banaya hai waqt ne apna
ba-nam-e-azmat-e-kirdar aao sach bolen

suna hai waqt ka hakim bada hi munsif hai
pukar kar sar-e-darbar aao sach bolen

tamam shahr mein kya ek bhi nahin mansur
kahenge kya rasan-o-dar aao sach bolen

baja ki khu-e-wafa ek bhi hasin mein nahin
kahan ke hum bhi wafadar aao sach bolen

jo wasf hum mein nahin kyun karen kisi mein talash
agar zamir hai bedar aao sach bolen

chhupae se kahin chhupte hain dagh chehre ke
nazar hai aaina-bardar aao sach bolen

'qatil' jin pe sada pattharon ko pyar aaya
kidhar gae wo gunahgar aao sach bolen


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close