khuli wo zulf to pahli hasin raat hui

khuli wo zulf to pahli hasin raat hui
uthi wo aankh to takhliq-e-kaenat hui

khuda ne gadh to diya aalam-e-wajud magar
sajawaton ki bina auraton ki zat hui

gile bahut the magar jab nazar nazar se mili!
na mujh se baat hui aur na un se baat hui

dil-e-tabah ko kuchh aur kar gai zakhmi!
wo ek nigah jo labrez-e-iltifat hui

hayat o maut ki ghaarat-gari ka haal na puchh
jo maut na ban saki wo 'adam' hayat hui


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close