KHun-e-dil hota raha KHun-e-jigar hota raha

khun-e-dil hota raha khun-e-jigar hota raha
ye tamasha ishq mein sham-o-sahar hota raha

is jahan-e-ab-o-gil mein yun basar hoti rahi
muskuraate bhi rahe daman bhi tar hota raha

aarzuon ko tadap kar nind si aati gai
qissa-e-bimar-e-gham yun mukhtasar hota raha

in ki baaton par yaqin hum umar bhar karte rahe
intizar-e-sham-e-wada umr bhar hota raha

talkhi-e-gham se na pal bhar ke liye fursat mili
umr bhar go chaara-e-dard-e-jigar hota raha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close