maut ka gham nahin KHushiyon ke nazare hote

maut ka gham nahin khushiyon ke nazare hote
meri turbat pe agar phul tumhaare hote

mere mahbub ke qadmon ki pazirai ko
ek dariya ke kai aur kinare hote

gar nikalti mere arman ki koi ganga
phir to sahraon ke kya khub nazare hote

bach nikalta bhala kaise ye safina tera
jo mukhalif tere tufan ke dhaare hote

waqt le aaya ajab mod pe mujh ko warna
aasman par meri qismat ke sitare hote


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close