KHun-e-nahaq thi faqat duniya-e-ab-o-gil ki baat

khun-e-nahaq thi faqat duniya-e-ab-o-gil ki baat
ye hai mahshar kyun yahan ho daman-e-qatil ki baat

aaj kyun ashkon mein hai aks-e-tabassum jalwa-gar
aa gai kya apni had par gham ke mustaqbil ki baat

har nazar rangini-e-rukh tak pahunch kar rah gai
phul ab kis se kahen gulshan mein zakhm-e-dil ki baat

dekhte hi rah gae qanun-e-qudrat ahl-e-zabt
le udi khakistar-e-parwana jab mahfil ki baat

nakhuda hum aur tufan se karen fikr-e-farar
hum kabhi karte nahin sahil pe bhi sahil ki baat

ho na jae phir shuur-e-karwan nazr-e-fareb
chhed di hai rahbar ne aaj phir manzil ki baat

koi apna hai na koi hamdam-o-dard-ashna
ai khuda kis se kahe 'ejaz' apne dil ki baat


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close