khush bahut tha ek lamha shadmani dekh kar gham hua mujh ko yun gham ki tarjumani dekh kar jo guzarti ja rahi hai nam us ka umr hai zindagi hairan hai is ki rawani dekh kar hae is sayyaad ne diwar ranwa di ajib ud rahe hain sare panchhi aasmani dekh kar jugnuon ne aaj dawat par bulaya chand ko chand shab bhar timtimaya mezbani dekh kar aankhen meri thin labaalab gard ka pahra tha yan wo ye samjha dhoka hai sahra mein pani dekh kar kya maza gar ishq mein thodi bahut duri na ho us ne khud se ye kaha meri nishani dekh kar ek to dil shairana aur phir majruh bhi chain mujh ko aaega bas baghbani dekh kar mutthiyon mein khak le kar aa gae hain sab ke sab kar do mujh ko dafn meri be-makani dekh kar wo mohabbat ke maani bas batata hi raha ishq phir jata raha dasht-e-maani dekh kar raaz thode aao kholen us khuda ke muntazir is zamin par aasman ki hukmarani dekh kar