KHusha bedad KHun-e-hasrat-e-bedad hota hai

khusha bedad khun-e-hasrat-e-bedad hota hai
sitam ijad karte ho karam ijad hota hai

ba-zahir kuchh nahin kahte magar irshad hota hai
hum us ke hain jo hum par har tarah barbaad hota hai

mere nashad rahne par wo jab nashad hota hai
bataun kya jo mera aalam-e-fariyaad hota hai

yahi hai raaz-e-azadi jahan tak yaad hota hai
ki nazren qaid hoti hain to dil aazad hota hai

dil-e-ashiq bhi kya majmua-e-azdad hota hai
udhar aabaad hota hai idhar barbaad hota hai

wo har ek waqia jo surat-e-uftad hota hai
kabhi pahle bhi dekha tha kuchh aisa yaad hota hai

badi mushkil se paida ek wo aadam-zad hota hai
jo khud aazad jis ka har nafas aazad hota hai

nigahen kya ki pahron dil bhi waqif ho nahin sakta
zaban-e-husn se aisa bhi kuchh irshad hota hai

tumhin ho tana-zan mujh par tumhin insaf se kah do
koi apni khushi se khanaman-barbaad hota hai

ye mana nang-e-pabandi se kya aazad ko matlab
magar wo sharm-e-azadi se bhi aazad hota hai

tasawwur mein hai kuchh aisa teri taswir ka aalam
ki jaise ab lab-e-nazuk se kuchh irshad hota hai

koi had hi nahin shayad mohabbat ke fasane ki
sunata ja raha hai jis ko jitna yaad hota hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close