KHushi ki mili ye saza rafta rafta

khushi ki mili ye saza rafta rafta
taaruf ghamon se hua rafta rafta

thi chehre ki rangat to nazron ke aage
chala rang dil ka pata rafta rafta

bhalai kiye ja yaqin rab pe rakh kar
wo deta hai sab ko sila rafta rafta

suni bhuke bachche ne jab man ki lori
to ro ro ke wo so gaya rafta rafta

tere bin bhi kat jaegi umr lekin
chhuda apna daman zara rafta rafta

nazar jo mili dil hua rakh jal kar
dhuan phir usi se utha rafta rafta

chaman mein khilin hanste hanste jo kaliyan
to khushbu se mahki faza rafta rafta

na ghabrao 'mona' pareshaniyon se
asar laegi har dua rafta rafta


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close