pyar ke aaghosh mein hum ko Thaharna hi nahin

pyar ke aaghosh mein hum ko thaharna hi nahin
aarzu ki us gali se ab guzarna hi nahin

chikhen meri sun ke bhi jab shab ne nazren pher lin
khauf kam us tirgi ka ab to karna hi nahin

ye safar mushkil sahi par hum to chalte jaenge
de koi aawaz lekin ab thaharna hi nahin

ye ghazab ki raunaqen kis kaam ki apne liye
sulh ab khushiyon se hargiz hum ko karna hi nahin

aab jab is zindagi ka ho gaya be-kar to
dub kar dobara is mein ab nikharna hi nahin

tum the shamil thi udasi bhi janaze par mere
ho chuke rukhsat hamein ab tum pe marna hi nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close